pahle subh ka raushan tara sirf hamare dhyan mein tha lekin azm ki lau bhadki to suraj bhi imkan mein tha shahr-e-jaan se dasht-e-adam tak karb ka mausam sath raha jaane kis ki khoj mein the hum kis ka chehra dhyan mein tha sahr-e-sud-o-ziyan mein shor tha ghatte badhte nirkhon ka lekin us shaffaf gali ka har lamha nirwan mein tha mahrumi ki barf pighal kar meri ragon mein jam jati aankh mein suraj dar aate hi jism bhi aatish-dan mein tha main thahra ek muflis shair nazr use karta bhi kya bas ye jiwan war aaya hun jiwan hi imkan mein tha sari umr guzari 'saghar' tab ye tilism-e-zat khula ek chehre ka aks tha mujh mein ek chehra gul-dan mein tha