pahle to apne aapko tujh sa kare koi
By chand-kakralviJanuary 19, 2024
pahle to apne aap ko tujh sa kare koi
phir mujh se dosti ka irada kare koi
harkat dil-o-dimagh mein paida kare koi
jo qaum mar chuki use zinda kare koi
suraj ke sath sath badalti hain apna rukh
parchhaiyon pe kaise bharosa kare koi
khushbu ki tarh bikhra hua hai fazaon mein
kaise tere wajud ko yakja kare koi
ye bulb ye charagh mere kaam ke nahin
kamre mein muskura ke ujala kare koi
dil ka mu'amla to hai dil ka mu'amla
kab tak khud apne aap se jhagda kare koi
buniyaad hi khisakne lage jab makan ki
diwar-o-dar pe kaise bharosa kare koi
mujh khaksar ka bhala aisa kahan nasib
do chaar din jo meri tamanna kare koi
ai 'chand' ye 'ajuba to hone se ab raha
aa kar hamein samete ikattha kare koi
phir mujh se dosti ka irada kare koi
harkat dil-o-dimagh mein paida kare koi
jo qaum mar chuki use zinda kare koi
suraj ke sath sath badalti hain apna rukh
parchhaiyon pe kaise bharosa kare koi
khushbu ki tarh bikhra hua hai fazaon mein
kaise tere wajud ko yakja kare koi
ye bulb ye charagh mere kaam ke nahin
kamre mein muskura ke ujala kare koi
dil ka mu'amla to hai dil ka mu'amla
kab tak khud apne aap se jhagda kare koi
buniyaad hi khisakne lage jab makan ki
diwar-o-dar pe kaise bharosa kare koi
mujh khaksar ka bhala aisa kahan nasib
do chaar din jo meri tamanna kare koi
ai 'chand' ye 'ajuba to hone se ab raha
aa kar hamein samete ikattha kare koi
70224 viewsghazal • English