pahle to chaak zaKHm-e-jigar dekhte rahe

By nilofar-noorApril 1, 2021
pahle to chaak zakhm-e-jigar dekhte rahe
phir dekhne walon ki nazar dekhte rahe
tham ne kahan diya tha hamein khwahishat ne
ruk ruk ke bazuon ka hunar dekhte rahe


lab par khile hue the tabassum ke phul par
jo khak-nazar the wo sharar dekhte rahe
tum ne to zindagi ka safar khatm kar diya
hum the ki teri rahguzar dekhte rahe


pahle to hum ne dard ke paude lagae khud
phir aansuon ke barg-o-samar dekhte rahe
aawaz de rahi thi nai zindagi hamein
hum log magar rakht-e-safar dekhte rahe


53781 viewsghazalEnglish