pahle to KHak-dan banane ka dukh hua

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
pahle to khak-dan banane ka dukh hua
phir aasman ko mere jaane ka dukh hua
roya hun ek hasti-e-nadida ke huzur
mitti mein aansuon ko milane ka dukh hua


logon ko bhi malal hua mere haal par
mujh ko bhi dastan sunane ka dukh hua
sahra bahut nidhaal meri tishnagi se tha
dariya ko meri pyas mitane ka dukh hua


patthar se aarzu-e-wafa shishagar ko hai
ye dukh to sare aaina-khane ka dukh hua
tere wafa-paraston mein kuchh wo bhi hain jinhen
duniya se tere hath milane ka dukh hua


43751 viewsghazalEnglish