pahle to rasm-o-rah baDhata chala gaya

By
pahle to rasm-o-rah badhata chala gaya
phir aaine se jaan chhudata chala gaya

kal to hawa ki ek bhi chalne na di gai
kuchh ism padh ke dip jalata chala gaya

haalanki ab ki bar bahut musta’id tha main
lekin wo khwab khwab dikhata chala gaya

ye wasf nagawar hai us ke khayal ka
aaya jo ek bar to aata chala gaya

pahle to ek tawil ghazal likh ke phad di
phir us ka jashn-o-sog manata chala gaya

khud ko gira gira ke uthaya gaya bahut
khud ko utha utha ke giraata chala gaya

dariya ko ek ghunt mein pine ki chah thi
'tasif' khud apni pyas badhata chala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close