pahlu na dukhega to guzara nahin hoga

By kaleem-aajizJanuary 3, 2024
pahlu na dukhega to guzara nahin hoga
hum sa bhi koi dard ka mara nahin hoga
har she'r hai taswir mere zakhm-e-jigar ki
han dekh ki phir aisa nazara nahin hoga


tu sab ki sune hai kabhi meri bhi ghazal sun
phir aisa khush-uslub dobara nahin hoga
jis dard se hum tujh ko diya karte hain aawaz
bulbul ne bhi yun gul ko pukara nahin hoga


kal hogi agar aaj pareshan nahin hogi
wo zulf jise hum ne sanwara nahin hoga
shamshir kabhi waqt ki chal hi nahin sakti
jab tak teri chitwan ka ishaara nahin hoga


jab tark-e-ta'alluq ka sitam jhel chuke hum
phir kaun sa gham hai jo gawara nahin hoga
duniya mein meri jaan ke dushman to bahut hain
tum jaise ho aisa koi pyara nahin hoga


hum ko koi ummid zamane se nahin hai
jo tera hua hai wo hamara nahin hoga
82568 viewsghazalEnglish