pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina kaf aaina bar aaina rukhsar aaina hai sar se panw tak wo sitamgar aaina hatta nahin jo samne se us ke raat din hum se siwa hai talib-e-didar aaina ye to mera raqib hai main manta nahin kyun dekhta hai aap ko har bar aaina rukh ka hai aks dil mein to rukh mein hai dil ka aks hai aaine ke samne har bar aaina khalwat mein us ke nur se aalam hai tur ka hain aab-o-tab se dar-o-diwar aaina ghash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se is waste hai pusht ba-diwar aaina kis mein hai aab-o-tab siwa dekh lijiye ek bar us ka chehra aur ek bar aaina rukh ka aur us ka ho gaya ek bar faisla achchha hua ki man gaya haar aaina labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se le aab-e-husn-e-saghar-e-sarshaar aaina 'parwin' jahan mein us ki jhapakti nahin palak hairat ka aap karta hai iqrar aaina