pahunchega mohabbat ka yun anjam kahan tak
By rana-khalid-mahmood-qaiserFebruary 28, 2024
pahunchega mohabbat ka yun anjam kahan tak
mujh par wo lagate rahe ilzam kahan tak
manzil bhi nazar aane lagi aage hi aage
do gam chalun aur wo do gam kahan tak
hum girya-e-shabnam ki taraf dekh rahe hain
kaliyon ke tabassum ka hai paigham kahan tak
hum baada-e-ulfat hain so hathon se hamare
chhinega mohabbat ke koi jam kahan tak
ye koi bata sakta nahin hai kabhi 'qaisar'
ma'lum nahin hijr ki hai sham kahan tak

74081 viewsghazal • English