paikar-e-aql tere hosh thikane lag jaen tere pichhe bhi jo hum jaise diwane lag jaen us ka mansuba ye lagta hai gali mein us ki hum yunhi khak udane mein thikane lag jaen soch kis kaam ki rah jaegi teri ye bahaar apne andar hi agar hum tujhe pane lag jaen sab ke jaisi na bana zulf ki hum sada-nigah tere dhoke mein kisi aur ke shane lag jaen raat bhar rota hun itna ki ajab kya is mein dher phulon ke agar mere sirhane lag jaen dasht karna hai hamein shahr ke ek goshe ko to chalo kaam pe hum sare diwane lag jaen 'farhat' ehsas ab aisa bhi ek aahang ki log sun ke ashaar tere nachne gane lag jaen