Paikar Tha Wafa Ka

By January 1, 2017
Paikar Tha Wafa Ka
Paikar Tha Wafa Ka

Paikar Tha Wafa Ka
Mohabbat Ka Khuda Tha



Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha




Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke

Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha




Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar

Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha




Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi



Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha


Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba



Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha




Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati

Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha!
2516 viewsghazalenglish