pairon ko mere dida-e-tar bandhe hue hai zanjir ki surat mujhe ghar bandhe hue hai har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai bichhadenge to mar jaenge hum donon bichhad kar ek dor mein hum ko yahi dar bandhe hue hai parwaz ki taqat bhi nahin baqi hai lekin sayyaad abhi tak mere par bandhe hue hai hum hain ki kabhi zabt ka daman nahin chhoda dil hai ki dhadakne pe kamar bandhe hue hai aankhen to use ghar se nikalne nahin detin aansu hai ki saman-e-safar bandhe hue hai phenki na 'munawar' ne buzurgon ki nishani dastar purani hai magar bandhe hue hai