pal do pal ki jo aashnai thi
By j-e-najmJuly 7, 2021
pal do pal ki jo aashnai thi
mujh ko lagta tha kal khudai thi
main ne thukra diya tha duniya ko
jab yahan tu palat ke aai thi
phir kisi dusre ki ho jaana
ye bata mujh mein kya burai thi
mangte kyon ho tum dalil-e-khuda
gar khuda tha to ye khudai thi
rog bhi mushtarak jadid sa tha
har taraf ek hi duhai thi
jis ke lab par sawal aaya tha
aag us ne hi aa lagai thi
'najm' us mod par chale aae
jis jagah sans dagmagai thi
mujh ko lagta tha kal khudai thi
main ne thukra diya tha duniya ko
jab yahan tu palat ke aai thi
phir kisi dusre ki ho jaana
ye bata mujh mein kya burai thi
mangte kyon ho tum dalil-e-khuda
gar khuda tha to ye khudai thi
rog bhi mushtarak jadid sa tha
har taraf ek hi duhai thi
jis ke lab par sawal aaya tha
aag us ne hi aa lagai thi
'najm' us mod par chale aae
jis jagah sans dagmagai thi
30078 viewsghazal • English