pal rahe hain kitne andeshe dilon ke darmiyan raat ki parchhaiyan jaise diyon ke darmiyan phir kisi ne ek khun-alud khanjar rakh diya khauf ke zulmat-kade mein doston ke darmiyan kya sunahri daur tha hum zard patton ki tarah dar-ba-dar phirte rahe pili ruton ke darmiyan ai khuda insan ki taqsim-dar-taqsim dekh parsaon dewtaon qatilon ke darmiyan aashti ke nam par itni saf-arai hui aa gai barud ki khush-bu gulon ke darmiyan mera chehra khud bhi aashob-e-safar mein kho gaya main ye kis ko dhundta hun manzilon ke darmiyan