palkon pe saj rahe hain jo moti na roliye jauhar hain gham ke gham ke taraazu mein toliye sham-e-gham-e-firaq ke pahlu mein baith kar aai kisi ki yaad to chupke se ro liye mundi gain jo aankhen to aae wo dekhne aa kar bhi kah na pae ki aankhen to kholiye dekha jo qadr gham ki nahin hai jahan mein le kar wo bij dil mein mohabbat se bo liye jage hue the hum jo tamanna ke bab mein subh-e-murad pa ke achanak hi so liye likkha hua tha kal bhi wafa ke mazar par aae ho dar pe dil ke to haule se kholiye dekha jo dil ko chup to wafaon ne ye kaha itni tawil shab hai are kuchh to boliye