pani mein kankar barsaya karte the
By saurabh-shekharNovember 17, 2020
pani mein kankar barsaya karte the
wo din jab hum lamhe zaya karte the
hod hawa se aksar lagti thi apni
aksar us ko dhul chataya karte the
dekh ke hum ko rahguzar muskati thi
ped bhi aage badh kar chhaya karte the
dhup batora karte the hum sara din
sham ko bant ke ghar le jaya karte the
aaj ghata afsurda karti hai hum ko
hum barish mein khub nahaya karte the
ek yahi hum dekhen sab khamoshi se
ek yahi hum shor machaya karte the
'saurabh' shab thi ek waraq sada jis par
likh likh kar hum khwab mitaya karte the
wo din jab hum lamhe zaya karte the
hod hawa se aksar lagti thi apni
aksar us ko dhul chataya karte the
dekh ke hum ko rahguzar muskati thi
ped bhi aage badh kar chhaya karte the
dhup batora karte the hum sara din
sham ko bant ke ghar le jaya karte the
aaj ghata afsurda karti hai hum ko
hum barish mein khub nahaya karte the
ek yahi hum dekhen sab khamoshi se
ek yahi hum shor machaya karte the
'saurabh' shab thi ek waraq sada jis par
likh likh kar hum khwab mitaya karte the
46520 viewsghazal • English