panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga kin chandon ka nur chura kar sina raushan hoga khwab ke hauzon ke andar hi hai aansu ka halqa ghaar se bahar niklega to chehra madfan hoga aankh falak pakdegi par hae qadmon ki qismat panw se jangal liptenge aur sar par sawan hoga barf pahadon par pighlegi sine mein ummiden sard hawaon mein nagri ki sans ka indhan hoga dard ka kantha chanchal nari ko budha kar dega phul se mathe ki chudi mein zakhm ka roghan hoga