panw mera phir paDa hai dasht mein

By balwan-singh-azarOctober 28, 2020
panw mera phir pada hai dasht mein
wo hi aawara hawa hai dasht mein
ab meri tanhai kam ho jaegi
ek bagula mil gaya hai dasht mein


bastiyon se bhi ziyaada shor hai
kaun itna chikhta hai dasht mein
kis tarah khud ko bachaega koi
ek nadida bala hai dasht mein


khak aur kuchh zard patton ke siwa
tujh ko 'azar' kya mila hai dasht mein
16465 viewsghazalEnglish