parbat tere pahlu mein agar khai nahin hai

By ehtisham-hasanOctober 29, 2020
parbat tere pahlu mein agar khai nahin hai
kahe ki bulandi jahan gahrai nahin hai
ab koi wahan is liye hota nahin ruswa
kuche mein tere koi tamashai nahin hai


hazrat jo rawadari nazar aap mein aai
kyon aap ke bachchon mein nazar aai nahin hai
duniya ne to us mein bhi kai naqs nikale
taswir jo main ne abhi banwai nahin hai


is waste bhi raushni hai bais-e-wahshat
aankhon ki charaghon se shanasai nahin hai
khud bant ke aaenge wahan apni sada hum
jis samt hawaon ne ye pahunchai nahin hai


shayad ki har ek shakhs ko hoti hai mohabbat
aur sab hi ye kahte hain ki danai nahin hai
logon se 'hasan' kar ke kai bar kinara
dekha hai kisi kaam ki tanhai nahin hai


98230 viewsghazalEnglish