parda kis amr ka hai ab is bad-nasib se

parda kis amr ka hai ab is bad-nasib se
kahiye to baat raat ki kah dun raqib se

dekhe jo dil ke dagh to bole raqib se
milte hain aise chand ke tukde nasib se

chohlen hain mujh gharib se chheden raqib se
padta hai kaam dekhiye kis khush-nasib se

is martaba junun mein yahi mashghala raha
de de ke phul dagh liye andalib se

tum ho kalim dekhne walon mein dur ke
lute hain hum ne yar ke jalwe qarib se

achchhe hain ek jahan se us ke mariz-e-ishq
un ko dawa se kaam na matlab tabib se

kam-bakht ki zaban se nikli hai koi baat
kaliyan hain munh phulae hue andalib se

waiz teri bahisht ka hum jaante hain haal
dilchaspiyan badha na bayan-e-ajib se

jo bad-mizaj de na tasalli mariz ko
achchha hai ishtidad-e-maraz us tabib se

kanton ke badle phul chune kis ne ai junun
sun aae hain chaman mein wo kuchh andalib se

kafir tere siwa jo kisi ki ho aarzu
hum dur hon khuda se khuda ke habib se

is zoaf mein ye haal hai milti nahin use
chalti hai chaal nabz hamari tabib se

allah re khulus ki manzil abhi hai dur
ghurbat ki sham aa ke mili mujh gharib se

deti hai ye zarur jo khud baithti hai wo
jhukti hai shakh-e-gul bhi zara andalib se

poshida dil mein hai kisi parda-nashin ka ishq
dard-e-nihan ka haal kahun kya tabib se

tujh mein padi hai jaan hamari padi bhi rah
ai aarzu na ja dil-e-hasrat-nasib se

lai kuchh un ke waste kuchh apne waste
gulbun se phul dagh liye andalib se

sar bhi subu-e-sar bhi bacha aaj baal baal
zahid ne badh ke kaam liya tha jarib se

din dopahar na aaj ho andher to sahi
guzrin zara wo hashr mein mere qarib se

bal gesuon se badh ke jabin par pade hue
koi ye jaane aae hain lad kar raqib se

duniya ki koi baat nahin jaante 'riyaz'
ek shakhs hain 'riyaz' bahut hi gharib se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close