pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao hanso aur hanste hanste dubte jao khalaon mein hamin pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao hamein to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye bazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao kahe jate ho ro ro kar hamara haal duniya se ye kaisi raazdari hai sitaro tum to so jao hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao