parinde be-khabar the sab panahen kat chuki hain safar se laut kar dekha ki shakhen kat chuki hain laraz jata hun ab to ek jhonke se bhi aksar main wo khema hun jis ki sab tanaben kat chuki hain bahut be-rabt rahne ka ye khamyaza hai shayad ki manzil samne hai aur rahen kat chuki hain hamein tanhai ke mausam ki aadat pad chuki hai ki is mausam mein ab to kitni raaten kat chuki hain nae manzar ke khwabon se bhi dar lagta hai un ko purane manzaron se jin ki aankhen kat chuki hain