paron ko khol zamana uDan dekhta hai

By shakeel-azmiNovember 19, 2020
paron ko khol zamana udan dekhta hai
zamin pe baith ke kya aasman dekhta hai
mila hai husn to is husn ki hifazat kar
sambhal ke chal tujhe sara jahan dekhta hai


kaniz ho koi ya koi shahzadi ho
jo ishq karta hai kab khandan dekhta hai
ghataen uthti hain barsat hone lagti hai
jab aankh bhar ke falak ko kisan dekhta hai


yahi wo shahr jo mere labon se bolta tha
yahi wo shahr jo meri zaban dekhta hai
main jab makan ke bahar qadam nikalta hun
ajab nigah se mujh ko makan dekhta hai


83957 viewsghazalEnglish