partaw-e-ruKH ka tere dil mein guzar rahta hai

By arshad-ali-khan-qalaqOctober 27, 2020
partaw-e-rukh ka tere dil mein guzar rahta hai
sath aaine ke aaine ka ghar rahta hai
aaj-kal josh pe ye dida-e-tar rahta hai
mardum-e-shahr ko tufan ka dar rahta hai


qatl-e-ushshaq unhen madd-e-nazar rahta hai
nimcha aath-pahr zeb-e-kamar rahta hai
soz-e-ulfat ka hai parwana dil-e-bazm apna
ye wo pamba hai nihan jis mein sharar rahta hai


bazm-e-ulfat mein qadam rakhte hain jo log apna
shama ki tarah kaf-e-dast pe sar rahta hai
chashm-e-maigun se hai saqi ki mohabbat jis ko
nashsha-e-mai mein wo chor aath-pahr rahta hai


qaul-o-iqrar pe kyun chhod diya dahan-e-yar
is nadamat se gareban mein sar rahta hai
ab to dam-bhar unhen fursat nahin aaraish se
aaina aath-pahr pesh-e-nazar rahta hai


kushta-e-tegh-e-nigah talib-e-didar rahen
chashm-e-jaanan ko ye manzur-e-nazar rahta hai
ye bhi hain us falak-e-husn ke juya meri tarh
chand suraj ko jo din-raat safar rahta hai


jab bigadte hain to manne ka wo lete nahin nam
pahron apna qadam-e-yar pe sar rahta hai
bela batenge sawari mein kisi gul ke ye kya
ghunchon ki mutthiyon mein kis liye zar rahta hai


main wo diwana hun jab fasl-e-bahaar aati hai
mere virane mein pariyon ka guzar rahta hai
wasl ki shab bhi nahin chain se katne pati
har-dam aazurdagi-e-yar ka dar rahta hai


dekhne wale samajhte hain abas tar-e-nazar
meri aankhon mein tera mu-e-kamar rahta hai
ghair ke bas mein 'qalaq' kyun na ho wo sim-badan
qabu-e-yar mein ganjina-e-zar rahta hai


77936 viewsghazalEnglish