pas aa kar bhi ana hai tujh mein

By mumtaz-rashidSeptember 26, 2023
pas aa kar bhi ana hai tujh mein
ye jhalak sab se juda hai tujh mein
chhuna chahun to bikhar jata hai
mere khwabon ki ada hai tujh mein


kho na jaen meri chahat ke guhar
waqt kuchh dhundh raha hai tujh mein
tu mere zehn ki raushan taswir
mera har rang khila hai tujh mein


tu muqaddas hai sahifon ki tarah
mera har raaz chhupa hai tujh mein
main nahin to koi mujh sa hoga
wo jo ek shakhs chhupa hai tujh mein


13067 viewsghazalEnglish