pas-e-aina khad-o-khal mein koi aur tha koi samne tha khayal mein koi aur tha jo dinon ke dasht mein chal raha tha wo main na tha jo dhadakta tha mah-o-sal mein koi aur tha koi aur tha mere sath daur-e-uruj mein mere sath ahd-e-zawal mein koi aur tha jise said karna tha dam mein wo chala gaya wo jo rah gaya tere jal mein koi aur tha thi zamin raunat-e-rad-o-barq se muzmahil pas-e-abro-baad-e-jalal mein koi aur tha