pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai andheri raat mein bhi raushni maujud rahti hai sar-e-darbar-o-maqtal ek sa mausam ana ka hai garan sar mein hamesha sar-kashi maujud rahti hai rawan rakhte hain hum ko dasht-e-dariya dhup darwaze sarabon se safar mein tishnagi maujud rahti hai nazar se jod rakhta hai ye dil aise bhi nazzare ki baad-az-marg bhi hairangi maujud rahti hai bahut aasan rahen bhi bahut aasan nahin hotin sabhi raston mein thodi gumrahi maujud rahti hai meri sochon mein yun rach bas gae hain shabnami mausam tawatur se tah-e-mizhgan nami maujud rahti hai talatum mein sada rahti hain kirnen husn-e-taban ki nasib-e-dushmanan kuchh barhami maujud rahti hai nikal pata nahin main kucha-e-be-nam se 'azmi' ki asbab-e-safar mein kuchh kami maujud rahti hai