pata nahin hamein dene hain imtihan kya kya

By sarahat-ahmad-sarahatJanuary 4, 2024
pata nahin hamein dene hain imtihan kya kya
kharaj legi mohabbat kahan kahan kya kya
wo anjuman ki jahan hosh udte jate hain
na hum se puchho ke dekh aae hum wahan kya kya


qadam qadam pe har ek samt kaamrani ke
nuqush chhod gai 'umr-e-raegan kya kya
milen to kaise milen do dilon ke milne mein
rukawaten hain zamane ke darmiyan kya kya


ye walwale ye 'azaim ye hausle apne
dilase dete hain hum ko kahan kahan kya kya
86395 viewsghazalEnglish