patjhaD mein KHizaon mein tujhe DhunD rahi hun
By najma-shaheen-khosaNovember 10, 2020
patjhad mein khizaon mein tujhe dhund rahi hun
main zard fazaon mein tujhe dhund rahi hun
bharne hain kai rang mujhe apne diye mein
kyun tez hawaon mein tujhe dhund rahi hun
nikli hun kisi dhun mein kisi yaad ko le kar
aur ujdi adaon mein tujhe dhund rahi hun
main khak-nashin aaj bhi takti hun falak ko
muddat se khalaon mein tujhe dhund rahi hun
jiwan mujhe munsif ne ata ki hain sazaen
main aaj sazaon mein tujhe dhund rahi hun
tujh se mile bichhde hue lamhon ki qasam hai
gum-gashta sadaon mein tujhe dhund rahi hun
'shahin' abhi tak ye mere hath hain khali
be-mehr duaon mein tujhe dhund rahi hun

85274 viewsghazal • English