patthar hai ye kabhi kabhi shisha hai aadmi

By shad-nimbahediJanuary 5, 2024
patthar hai ye kabhi kabhi shisha hai aadmi
hai jo ba'id-e-'aql mu'amma hai aadmi
subh-o-masa talab mein bhatakta hai aadmi
kab raaz-e-kaenat ko samjha hai aadmi


pahle kare to nama-e-a'mal khushnuma
jannat ki aarzu mein to marta hai aadmi
pamali-e-zamir pe rota hai khun-e-dil
jab bhi kisi nazar se utarta hai aadmi


rishta hua shikasta murawwat na kuchh lihaz
aabaadiyon ke shahr mein tanha hai aadmi
pata hai sarfaraaziyan rabb-e-jalil se
ai 'shad' jab sujud mein jhukta hai aadmi


36950 viewsghazalEnglish