patthar ho ki faulad ho darne ka nahin main ab surat-e-aina bikharne ka nahin main jo zat ka meri hai khala chiz digar hai jo bhar bhi gae zakhm to bharne ka nahin main dekhen na nazar bhar ke mujhe der talak aap jo chadh gaya nazron mein utarne ka nahin main ki baada-kashi tark-e-maabid ke muqabil ab is se ziyaada to sudharne ka nahin main didar tera mere liye rahat-e-jaan hai be-dekhe tujhe jaan se guzarne ka nahin main ab jurm-e-mohabbat ki mile koi bhi padash taftish ke dauran mukarne ka nahin main