patthar tamam shahr sitamgar ke ho gae jitne the aaine wo mere ghar ke ho gae shayad ki ye zamana unhen pujne lage kuchh log is khayal se patthar ke ho gae mehwar se un ko khinch na pai koi kashish shauq-e-tawaf mein jo tere dar ke ho gae wo apne la shuur se hijrat na kar saka mere irade sat samundar ke ho gae saffak mausamon ne ajab sazishen rachin tukde hawa ke hathon gul-e-tar ke ho gae meri bulandiyon pe thi jin ki nazar 'sukhan' main khush hun wo mere barabar ke ho gae