payam le ke jo paigham-bar rawana hua hasad ko hila mila ashk ko bahana hua wo meri aah jo sharminda-e-asar na hui wo mera dard jo minnat-kash-e-dawa na hua khayal mein na rahin suraten azizon ki watan se chhute hue is qadar zamana hua wo dagh jis ko jagah dil mein di thi jite-ji charagh bhi to hamare mazar ka na hua pari-washon ko sunate hain qissa-khwan 'bekhud' hamara haal na thahra koi fasana hua