peDon se dhup pichhle-pahar ki phisal gai

By muneebur-rahmanNovember 9, 2020
pedon se dhup pichhle-pahar ki phisal gai
suraj ko rukhsati ka ufuq se payam hai
phaila hua hai kamre mein ehsas-e-be-hisi
khamoshiyon se be-sukhani ham-kalam hai


aahat ho qufl khulne ki darwaza baz ho
aankhon ko ab yaqin hai ye ummid-e-kham hai
ye umr-e-sust-gam guzarti hai is tarah
har aan dil ko waqt-shumari se kaam hai


rahti hai sirf us se tasawwur mein guftugu
aaram-gah-e-ruh mein jis ka maqam hai
wo ham-safar jo chhod ke aage chale gae
ai mauja-e-hawa unhen mera salam hai


har ek ko na-guzir hui dawat-e-fana
thahraw hai sahar ko na shab ko dawam hai
hain an-kahe bahut se sukhan-ha-e-guftani
afsana-e-hayat sada na-tamam hai


din ja raha hai jaise juda ho rahe hain dost
kaisi bujhi bujhi si ye garmi ki sham hai
88328 viewsghazalEnglish