phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jae

By faiz-ahmad-faizNovember 9, 2020
phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jae
phir apni nazar shayad ta-hadd-e-nazar jae
sahra pe lage pahre aur qufl pade ban par
ab shahr-badar ho kar diwana kidhar jae


khak-e-rah-e-jaanan par kuchh khun tha girau apna
is fasl mein mumkin hai ye qarz utar jae
dekh aaen chalo hum bhi jis bazm mein sunte hain
jo khanda-ba-lab aae wo khak-basar jae


ya khauf se dar-guzren ya jaan se guzar jaen
marna hai ki jina hai ek baat thahar jae
75992 viewsghazalEnglish