phir ek bar tera tazkira nikal aaya mujhe tarasha to paikar tera nikal aaya ye mere ghar ke darichon mein raushni kaisi yahan charag ka kya silsila nikal aaya jo naqsh naqsh asiri ka sehr jaante the un aainon se bhi saya mera nikal aaya main apne shor mein kab tak daba hua rahta sadaen deta hua be-sada nikal aaya lipat ke rota raha wo bujhe charaghon se ki taq taq koi silsila nikal aaya diya tha jis ko zamane ne tere qurb ka nam mere hi qadmon se wo fasla nikal aaya