phir ek dusri hijrat nahin zamin nahin

By akash-arshMay 30, 2024
phir ek dusri hijrat nahin zamin nahin
ye meri mamlikat-e-dard mujh se chhin nahin
nawah-e-yaad ki dil ne musafirat chhodi
ki ek shakhs bhi us kunj ka makin nahin


ghubar-basta sitaron se bhar chuka aankhen
wo qafila
ki kisi subh ka amin nahin
main tere hadiya-e-furqat pe kaise nazan hun


meri jabin pe tera zakhm tak hasin nahin
safar mein hun ki nahin sochta rahunga 'arsh'
zamin zaman nahin aur zaman zamin nahin
58198 viewsghazalEnglish