phir ghaalib ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen
By kanwal-pradeep-mahajanFebruary 27, 2024
phir 'ghaalib' ko yaad karen phir dida-e-tar ki baat karen
dil ki jigar ki baat karen phir sauda-e-sar ki baat karen
jab tapka tha khun-e-shahidan jab mahki thi arz-e-watan
aao hamdam us lamhe ki us manzar ki baat karen
qatil to qatil thahra us ne jo kiya so karna tha
chaaragar ne kyon munh phera chaaragar ki baat karen
apne aap ko bhi pahchanen khud se ta'aruf bhi kar len
apni jin ko sar nahin wo duniya-bhar ki baat karen
shab to 'kanwal' har haal mein hi kat jaani hai kat jaegi
kyon uljhen tariki se phir kyon na sahar ki baat karen

75901 viewsghazal • English