phir hara hone ki KHwahish ka irada sukhe

By kunaal-barkadeFebruary 27, 2024
phir hara hone ki khwahish ka irada sukhe
kyon bhala sukha hua ped dubara sukhe
meri chahat hai ki gahrai se niklen aansu
meri koshish hai ziyaada se ziyaada sukhe


wo tumhaare liye ek baat thi par mere liye
dariya sukha hai agar ek bhi qatra sukhe
chahiye phul ko ek phul koi mali nahin
ham-safar to wo hai jo sath ikattha sukhe


main nahin chahta hun ab ki meri pyas mite
main nahin chahta ab pyas ka dariya sukhe
mat karo zikr ki barsat nahin hoti ab
main nahin chahta taswir mein jharna sukhe


17102 viewsghazalEnglish