phir koi jashn manao ki hansi aa jae git ek aisa sunao ki hansi aa jae dam ghuta jata hai is raat ki tariki mein koi basti hi jalao ki hansi aa jae tum to be-laus ho mukhlis ho karam-farma ho itne nazdik na aao ki hansi aa jae kaam karna hai to maidan mein aao 'shaukat' is tarah baith na jao ki hansi aa jae