phir lauta hai khurshid-e-jahan-tab safar se phir nur-e-sahar dast-o-gareban hai sahar se phir aag bhadakne lagi har saz-e-tarab mein phir shoale lapakne lage har dida-e-tar se phir nikla hai diwana koi phunk ke ghar ko kuchh kahti hai har rah har ek rahguzar se wo rang hai imsal gulistan ki faza ka ojhal hui diwar-e-qafas hadd-e-nazar se saghar to khanakte hain sharab aae na aae baadal to garajte hain ghata barse na barse pa-posh ki kya fikr hai dastar sambhaala payab hai jo mauj guzar jaegi sar se