phir mayassar ye mulaqat kabhi ho ki na ho samne baith ke phir baat kabhi ho ki na ho aao hum bojh dilon ka zara halka kar len kya khabar ashkon ki barsat kabhi ho ki na ho ye bhi mumkin hai ki main aap ka dil rakh paun phir se ye aalam-e-jazbaat kabhi ho ki na ho chhodne wala tha dil tere karam ki ummid dar tha phir lutf-e-ishaaraat kabhi ho ki na ho tha irada ki koi baat adhuri na rahe kya khabar fursat-e-lamhat kabhi ho ki na ho pyar ke nam pe ye zakhm bhi hain mujh ko qubul phir meri nazr ye saughat kabhi ho ki na ho tujh se milne ka ye mauqa hamein qismat se mila aisi dilchasp mulaqat kabhi ho ki na ho yahi behtar hai ki hum kar len qubul apne gunah khud se is tarah mulaqat kabhi ho ki na ho itna bebas tha main 'anjum' ki zaban khul na saki kya khabar khatm siyah raat kabhi ho ki na ho