phir se hum paD gae mohabbat mein

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
phir se hum pad gae mohabbat mein
tujh ko rona nahin tha qismat mein
wo jo sanjidgi se kahna tha
wo to hum kah chuke shararat mein


hosh mein kab hamare bas ke the
kaam nimta liye jo wahshat mein
ek purani namaz yaad aai
aur khalal pad gaya 'ibaadat mein


roz mere liye qayamat thi
roz talti hui qayamat mein
bas wahi mangne nahin aate
jin ka hissa hai meri daulat mein


yaad rakhna gunahgar ho tum
muskurana nahin 'adalat mein
aakhiri jam ne bigadi baat
bas nahin kah sake murawwat mein


muskura kar wida' karta hun
ye bhi ab aa gaya hai 'adat mein
25999 viewsghazalEnglish