phir us nigah ka nashtar meri talash mein hai
By badr-shamsiOctober 8, 2023
phir us nigah ka nashtar meri talash mein hai
sukun-e-dil ka payambar meri talash mein hai
wo jis ne mujh ko kabhi aaine mein dekha tha
wo ek shakhs barabar meri talash mein hai
main apni zat mein bhatka hua musafir hun
har ek rah ka patthar meri talash mein hai
ye zindagi ka andhera ye karb-e-tanhai
salib-o-dar ka manzar meri talash mein hai
ba-nam-e-talkhi-e-dauran ba-nam-e-zahr-e-hayat
suna hai phir koi saghar meri talash mein hai
sukut-e-naz ko andaz-e-guftugu de kar
kisi ki chashm-e-sukhanwar meri talash mein hai
mila na chashma-e-haiwan se jis ko aab-e-hayat
nasib ka wo sikandar meri talash mein hai
mujhe panah de ai mere gham ki tanhai
umid-o-bim ka lashkar meri talash mein hai
main 'badr' apne ujale mein khud hi dub gaya
tajalli-e-mah-o-akhtar meri talash mein hai

13666 viewsghazal • English