phir wahi main hun wahi shahr-badar sannata mujh ko das le na kahin khak-basar sannata dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko hijr walon ne liya rakht-e-safar sannata kis se puchhun ki kahan hai mera rone wala is taraf main hun mere ghar se udhar sannata tu sadaon ke bhanwar mein mujhe aawaz to de tujh ko dega mere hone ki khabar sannata us ko hangama-e-manzil ki khabar kya doge jis ne paya ho sar-e-rahguzar sannata hasil-e-kunj-e-qafas wahm-ba-kaf tanhai raunaq-e-sham-e-safar ta-ba-sahar sannata qsimat-e-shair-e-simab-sifat dasht ki maut qimat-e-reza-e-almas-e-hunar sannata jaan-e-'mohsin' meri taqdir mein kab likkha hai dubta chand tera qurb-e-gajar sannata