phir ye kaisa udheD-bun sa laga

By mushafi-ghulam-hamdaniNovember 9, 2020
phir ye kaisa udhed-bun sa laga
jaan-e-gham-dida ko jo ghan sa laga
us gali mein jo main utha gahe
pa-e-khwabida mujh ko sun sa laga


us ne jis waqt aur sar khencha
nakhl-e-qad us ka sarw-bun sa laga
us ke chhalle ke hain jo gul khae
dagh har ek badan pe hun sa laga


aakhir-e-umr apni nazron mein
jama-e-zindagi kuhan sa laga
kashti-e-chashm-e-tar khinchi hai udhar
hai jidhar tar-e-ashk gun sa laga


yar-e-dharmatma ka pyar ke sath
bosa dena bhi mujh ko pun sa laga
jab dil-sokhta pe zakhm-e-mizha
nazar aaya wo saf pun sa laga


main suna 'mushafi' ko piri mein
mujh ko khele wo khush-sukhan sa laga
64843 viewsghazalEnglish