phire hain dhun mein teri hum idhar udhar tanha

By zafar-akbarabadiNovember 27, 2020
phire hain dhun mein teri hum idhar udhar tanha
tujhe talash kiya hai nagar nagar tanha
hamare sath sabhi hain magar koi bhi nahin
hum anjuman mein hain baithe hue magar tanha


gawah hain rah-e-shauq-o-talab ke sannate
kiya hai hum ne ye sabr-azma safar tanha
chale gae hain na-jaane kahan sharik-e-safar
mujhe hayat ki rahon mein chhod kar tanha


bahut dinon se nahin tu rafiq-e-dida-o-dil
bahut dinon se akela hai dil
nazar tanha
bhulane wale kabhi tu ne ye bhi socha hai


tere baghair hai kab se tera 'zafar' tanha
64725 viewsghazalEnglish