phul khilte hain to kanTon ko hansi aati hai
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
phul khilte hain to kanton ko hansi aati hai
aise khilne pe khizaon ko hansi aati hai
chand ko dekh ke taron ko hansi aati hai
khud ujalon pe ujalon ko hansi aati hai
haif-sad-haif ki aaya hai zamana kaisa
ab buzurgon pe jawanon ko hansi aati hai
dur rahte hain to rahte hain khafa hum donon
aankh milti hai to donon ko hansi aati hai
pahle hanste the to khushiyon pe hansa karte the
ab to matam pe bhi logon ko hansi aati hai
zindagi aisi haqiqat hai ki jis par 'saqi'
thode rote hain to thodon ko hansi aati hai

74513 viewsghazal • English