phul ki baaten karo ya Khaar ki baaten karo

By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
phul ki baaten karo ya khar ki baaten karo
gulsitan walo magar me'yar ki baaten karo
ahl-e-‘alam ghuncha-o-gul ke fasane chhod do
hai agar himmat to badh kar dar ki baaten karo


naseho zikr-e-rah-e-dair-o-haram be-faiz hai
mera dil kahta hai ku-e-yar ki baaten karo
aashiyan ka sehn-e-gulshan ka rawish ka zikr kya
aaj to sayyaad ki raftar ki baaten karo


ahl-e-sahil zikr-e-sahil se to ji ukta gaya
sharh tufan ki karo manjdhaar ki baaten karo
sun raha hun der se mashq-e-jafa ki dastan
kash yunhi tum mere isar ki baaten karo


dil dhadak uthta hai ho jata hai barham nazm-e-hosh
jab kabhi un ke lab-o-rukhsar ki baaten karo
kis ne 'ishrat' kah diya ye sha'iri aasan hai
pahle sikho nasr phir ash'ar ki baaten karo


32487 viewsghazalEnglish