phul ko khar likhen khar ko shabnam likkhen zakhm gahra ho to aasuda-e-marham likkhen narm alfaz hi tahrir ke shainda hain ye munasib hai ki kaghaz ko bhi resham likkhen ek ek harf se khushbu-e-bahaaran jage sade kaghaz pe kabhi phul agar hum likkhen gham ko rangin bana denge mohabbat ke khutut aap kuchh hum ko likhen aap ko kuchh hum likkhen husn-e-ijmal mein tafsir ke pahlu hain bahut kuchh ziyaada bhi agar likhna ho to kam likhen