phul mahke hain sadaon ke na chehra koi kitna viran nazar aata hai daricha koi bad-guman ho ke mujhe waqt ke sahra mein na chhod apne sae se bhi karta hai kinara koi ruk gaya sham ke aangan se guzarta suraj pad raha hai kisi diwar pe saya koi yun chhupae hue phirta hun hatheli ke nuqush jaise mutthi mein hawa udta hua lamha koi puchhta kis se main khoe hue chehron ka pata shahr ki bhid mein nikla na shanasa koi us ne yun dil ko mere gham ki amanat saunpi jaise mitti mein chhupa deta hai sona koi ye meri aankh hai ya aaina-khana tera har qadam par nazar aaya mujhe tujh sa koi mere chehre pe bhi haalat ki tahriren thin main bhi akhbar tha 'rashid' mujhe padhta koi